jine wala ye samajhta nahin saudai hai zindagi maut ko bhi sath laga lai hai ye bhi mushtaq-ada wo bhi tamannai hai khinch ke duniya tere kuche mein chali aai hai khul gae naza mein asrar-e-tilism-e-hasti zist kahte hain jise maut ki angdai hai kah gae ahl-e-chaman ye tere diwanon se hosh mein aao zamane mein bahaar aai hai main kisi roz dikhaun dil-e-sad-chaak-ada tujh ko malum to ho kya teri angdai hai dhundhti kyun na rahe us ko abad tak duniya jis ne chhupne ki azal hi mein qasam khai hai phut kar panw ke chhaale mere lae ye rang bagh to bagh hai sahra mein bahaar aai hai jalwa-e-roz-e-azal ne mujhe bechain kiya pahli duniya mein ye pahli teri angdai hai jis ki sehat ke liye aap duaen mangen aise bimar ko bhi maut kahin aai hai tegh-e-qatil ko pas-e-qatl nadamat hogi dam se 'bismil' hi ke ye marka-arai hai