duniya ko to hai gulshan-o-gulzar se matlab aur mujh ko faqat yar ke didar se matlab firdaus ki khwahish hai na gulzar se matlab hai hum ko sada kucha-e-dildar se matlab har aabla-e-pa yahi kahta hai ki mujh ko sahra-e-madina ke hai har khar se matlab zahid ko agar taq-e-masajid ki talab hai ushshaq ko hai abru-e-khamdar se matlab mahbub-e-ilahi mere khwaja ke hain mahbub tujh ko bhi 'qamar' hai usi sarkar se matlab