nazar mein aa gai jab se janab ki surat badal gai dil-e-khana-kharab ki surat bhara hua hai khum-e-dil mai-e-mohabbat se tumhaari aankh hai jam-e-sharab ki surat hamesha ek hi haalat nahin zamana ki hamari zist yahan hai habab ki surat lagi hai aag yahan tak kisi ki ulfat mein bane hain qalb-o-jigar bhi kabab ki surat na ja tu zahid-e-nadan su-e-mai-khana bigad na jae kisi din janab ki surat hamare ashk ne rang-e-hina ko mat kiya bahe hain aankh se aansu shahab ki surat jala diya dil-e-mai-kash ko mere saqi ne jigar kabab lahu se sharab ki surat ba-waqt-e-naza 'qamar' aur lahad ke andar bhi ho mere pesh-e-nazar bu-turab ki surat