duniya luti to dur se takta hi rah gaya aankhon mein ghar ke khwab ka naqsha hi rah gaya us ke badan ka loch tha dariya ki mauj mein sahil se main bahaw ko takta hi rah gaya duniya bahut qarib se uth kar chali gai baitha main apne ghar mein akela hi rah gaya wo apna aks bhul ke jaane laga to main aawaz de ke us ko bulata hi rah gaya hamrah us ke sari bahaaren chali gain meri zaban pe phul ka charcha hi rah gaya kuchh is ada se aa ke mila hum se 'ashk' wo aankhon mein jazb ho ke sarapa hi rah gaya