koi dil-jui nahin thi koi shunawai na thi jaise ahl-e-shahr se meri shanasai na thi mujh ko ek chup-chap se chehre ne zakhmi kar diya main ne aisi chot sari zindagi khai na thi ghaur se dekhen to hai yaadon ke rangon ka kamal is qadar dilkash kabhi taswir-e-tanhai na thi kar diya jis ne mujhe phir zindagi se ham-kanar tha mera zauq-e-yaqin teri masihai na thi baghban ki ek zara si laghzish-e-tartib se mausam-e-gul tha magar gulshan mein ranai na thi jin se thi insaf ki ummid ahl-e-dard ko ghaur se dekha to un aankhon mein binai na thi na-khuda mujh ko apahij kar gaya warna 'asad' aasman uncha na tha dariya mein gahrai na thi