duniya mein har qadam pe hamein tirgi mili dekha jo apne dil ki taraf raushni mili ulfat mili khulus mila dosti mili har dil mein hum ko apni hi taswir si mili nagah jaise bichhda hua ham-safar mile gham mil gaya to dil ko badi tazgi mili shayad meri talash ka maqsad hi tha ghalat aawaz di khirad ko to diwangi mili hai apni zindagi ki ye tafsir-e-mukhtasar gham mustaqil mila to khushi aarizi mili jo ho chala tha dil ko sukun un ke hijr mein wo mil gae to phir use waraftagi mili ishrat-kada hai dahr magar shaikh ke liye hum ko to ek ghadi bhi na aaram ki mili wo aur honge pi ke jo sarshaar ho gae har jam se hamein to nai tishnagi mili jagir apni shaeri pahle se thi magar ek umr jab riyaz kiya sahiri mili