shahr meri majburi ganw meri aadat hai ek saneha mujh par ek meri wirasat hai ye bhi ek karishma hai biswin sadi tera maut ke shikanje mein zindagi salamat hai phir 'anis' mimber par marsiya padhen aa kar karbala ye duniya hai har ghadi shahadat hai jaise chahe ji lije phenkiye ya pi lije zindagi to har ghar mein chaar din ki mohlat hai waqt ke badalne se dil kahan badalte hain aap se mohabbat thi aap se mohabbat hai muskura ke khul jaana khul ke phir bikhar jaana in dinon to phulon mein aap si shararat hai ek sada ye aati hai meri khwab-gahon mein dil ko chain aa jaana dard ki alamat hai tu gaya namazon mein main gaya jawazon mein wo teri ibaadat thi ye meri ibaadat hai meri rae puchho to ye buri-bhali duniya aap jitne achchhe hain utni khub-surat hai