duniya mein koi tujh sa bashar ho nahin sakta yun koi kahe lakh magar ho nahin sakta aison ka har ek jagah guzar ho nahin sakta han tir-e-nazar tar-e-nazar ho nahin sakta jo kaam hai dil ka wo jigar kar nahin sakta ye dard idhar ka hai udhar ho nahin sakta kya baithe hain bekar ab uthiye bhi yahan se aghyar ka ghar aap ka ghar ho nahin sakta ai qalb zara tu hi kashish apni dikha de nalon mein hamare to asar ho nahin sakta wo dekh chuke khub sa jab nakhl-e-mohabbat kahne lage is mein to samar ho nahin sakta maujud har ek ja hai wo ai naseh-e-na-fahm kaba hi ek allah ka ghar ho nahin sakta duniya mein hasin lakh hon lekin mujhe kya kaam ye dil ab idhar se to udhar ho nahin sakta duniya mein hasin lakh hon lekin mujhe kya kaam ye dil ab idhar se to udhar ho nahin sakta aansu ki jhadi tu hi laga de wo na jaanen kuchh tujh se to ai dida-e-tar ho nahin sakta jo chaho kaho ghair ki tarif mein lekin ye sina ye dil aur ye jigar ho nahin sakta haq ye hai ki us aariz-e-pur-nur ke aage sarsabz kabhi bhi gul-e-tar ho nahin sakta ai baad-e-sahar hukm jo us ka na ho tujh se tinka bhi idhar se to udhar ho nahin sakta allah musibat se shab-e-gham ki bachae insan ka patthar ka jigar ho nahin sakta be-faeda ghairon se ulajhte hain 'fahim' aap is se to koi un ka zarar ho nahin sakta