han kya kaha ki ghair se ulfat bhi kuchh nahin ye sach agar hai phir mujhe hujjat bhi kuchh nahin shurb-e-mudam ki mujhe aadat bhi kuchh nahin aur koi yun pilae to nafrat bhi kuchh nahin phir tum se aa ke milte bhi hain roz roz wo ghairon se tum ko rabt-o-mohabbat bhi kuchh nahin hona jo tha wo ho chuka jati thi jaan gai aane ki tere ab to zarurat bhi kuchh nahin dekha jise hasin bas us par phisal pade sach kahte ho ki aisi tabiat bhi kuchh nahin naseh na bak fuzul chala ja na munh khula tu sun le mujh se teri haqiqat bhi kuchh nahin har roz chhed chhed ke kuchh tazkira bhi hai aur dukht-e-raz pe shaikh ki niyyat bhi kuchh nahin nale ko sirf munh se nikalne ki der thi dekha to aasman ki haqiqat bhi kuchh nahin teri wajah se parda-e-mashuq fash ho ai shohrat-e-junun tujhe ghairat bhi kuchh nahin itna to hai ki tujh se wo kuchh khush nahin 'fahim' yun tere nam se unhen nafrat bhi kuchh nahin