duniya mein rang-o-nur ki koi kami na thi

duniya mein rang-o-nur ki koi kami na thi
bas ek shahr-e-dil tha jahan raushni na thi

kya kah gae the tum ye tumhein hosh bhi na tha
chup rah gae the hum to koi baat hi na thi

bichhde the bhid mein wo hamesha ke ham-safar
phir kuchh khabar kisi ki kisi ko mili na thi

kis ne ye shahr-e-amn mein neze saja diye
pahle to yun saron ki numaish lagi na thi

har daur ahl-e-daur ke chehron ka aaina
jab hum bure na the to ye duniya buri na thi

bas aa gaya tha kuch ka hangam-e-na-gahan
mujh ko to sochne ki bhi mohlat mili na thi

pahle bhi yun jale the 'sharar' apne aashiyan
sayyaad ke makan pe bijli giri na thi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close