dil-o-dimagh ko taskin-e-iztirab to de

dil-o-dimagh ko taskin-e-iztirab to de
mere sawalon ka aakhir koi jawab to de

pighal na jae kahin aanch se tu qurbat ki
badha ke fasle kuchh rang-e-ijtinab to de

tasawwuraat mein raushan ho chand sa chehra
shab-e-siyah ki aankhon mein nur-e-khwab to de

saja bana hua chehra shararati aankhen
jaga rahi hain ye fitne inhen hijab to de

shumar karta hai ghairon ke hi gunahon ko
kabhi tu apni khataon ka bhi hisab to de

hamesha khar nigahon se dekhta hai mujhe
kabhi zaban se khilte hue gulab to de

har ek waraq pe raqam nafraten milin hum ko
kabhi zaban se khilte hue gulab to de

shua-e-ilm se raushan 'sharar' hai ye duniya
zawal jis ko na ho aisa aaftab to de


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close