duniya ne yahi mujhko har bar bataya hai

duniya ne yahi mujh ko har bar bataya hai
koi bhi nahin apna har shakhs paraya hai

ye waqt mujhe aksar leta hai nishane par
main ne bhi ise apna andaz dikhaya hai

aandhi ne girae hain kuchh ped bade lekin
mushkil mein khade rahna ye path padhaya hai

ek rah juda hoti ek rah nazar aati
manzil ka pata us ne kuchh yun bhi bataya hai

karna hai bada khud ko to soch badi rakhna
gamle mein bhala kis ne bargad ko ugaya hai

jo aankh ki had mein tha dekha hai wahi pahle
phir dil ki nigahon ne kuchh aur dikhaya hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close