fursat mile kabhi to gareban mein jhankiye

fursat mile kabhi to gareban mein jhankiye
khud ko tu dekh le wo hunar bhi tarashiye

achchhe-bure ka farq samajhna bhi sikh le
duniya ko ek nazar se hamesha na dekhiye

suraj uga to dhup tere pas aa gai
ab dhup ko banane ka dawa na kijiye

duniya mein aur log bhi behtar hain aap se
duniya ko dekh aur ye sach man lijiye

jo kuchh mila tujhe wo khuda ne ata kiya
nadan apne aap ko sab kuchh na maniye

dil ko sukun jahan bhi mile us taraf chalen
jaana na ho jidhar to udhar rukh na kijiye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close