duniya ne zar ke waste kya kuchh nahin kiya aur hum ne shaeri ke siwa kuchh nahin kiya ghurbat bhi apne pas hai aur bhuk nang bhi kaise kahen ki us ne ata kuchh nahin kiya chup-chap ghar ke sehn mein faqe bichha diye rozi-rasan se hum ne gila kuchh nahin kiya pichhle baras bhi boi thin lafzon ki khetiyan ab ke baras bhi is ke siwa kuchh nahin kiya ghurbat ki tez aag pe aksar pakai bhuk khush-haaliyon ke shahr mein kya kuchh nahin kiya basti mein khak adai na sahra mein hum gae kuchh din se hum ne khalq-e-khuda kuchh nahin kiya mangi nahin kisi se bhi hamdardiyon ki bhik 'sajid' kabhi khilaf-e-ana kuchh nahin kiya