mere zehn-o-dil par jo chhaya hua hai mujhe us ne yaksar bhulaya hua hai har ek naqsh-e-duniya mitaya hua hai use main ne dil mein basaya hua hai bahut dur mahsus hota hai mujh ko gale jis ko main ne lagaya hua hai mujhe khauf hai silwaten pad na jaen badan us ne apna bichhaya hua hai tumhein dhundne se nahin milne wala nishan apna main ne mitaya hua hai bhatakte hain sahra mein kitne musafir har ek naqsh-e-pa ka safaya hua hai yahi ja-nashin hai meri mumlikat ka baghal mein jo bachcha sulaya hua hai