duniya saji hui hai jo bazar ki tarah main bhi chalunga aaj kharidar ki tarah tute hon ya purane hon apne to hain yahi khwabon ko jama karta hun aasar ki tarah ye aur baat hai ki numayan rahun magar duniya mujhe chhupae hai aazar ki tarah meri kitab-e-zist tum ek bar to padho phir chahe phenk do kisi akhbar ki tarah ab zindagi ki dhup bhi sidha karegi kya ab tak main kaj raha teri dastar ki tarah muddat hui ki ghumta phirta hun raat-din afkar ke dayar mein nadar ki tarah is khauf se ki saya bhi apna na chhut jae ruk ruk ke chal raha hun main bimar ki tarah