duniya se, jis se aage ka socha nahin gaya hum se wahan pahunch ke bhi thahra nahin gaya aankhon pe aisa waqt bhi guzra hai bar-ha wo dekhna pada hai jo dekha nahin gaya padhwana chahte the nujumi se hum wahi hum se qadam zamin pe rakkha nahin gaya naqshe mein aaj dhundne baitha hun wo zamin jis ko hazar tukdon mein banta nahin gaya ab kya kahen nujumi ke bare mein chhodiye apna to ye baras bhi kuchh achchha nahin gaya