tere hisse ka bach gaya hai kuchh meri aankhon mein chubh raha hai kuchh hum bhi mahir hain ab tere fan mein dil mein hai kuchh magar kaha hai kuchh yaad karna tumhein hai aadat mein warna dil mein nahin bacha hai kuchh din mein bhi sochte hain hum tujh ko raat is baat pe khafa hai kuchh na hua mera aur na us ka hi dil ke hone ka faeda hai kuchh ek sitare ke tut jaane se arsh ka bojh badh gaya hai kuchh teri aankhen jise mayassar hon phir kahan us ko aaina hai kuchh jaan nikli na tere jaane pe mere haq mein ajab saza hai kuchh sirf mere nahin hain ye aansu in mein hissa raqib ka hai kuchh ab duaen meri nahin sunta arsh budha sa ho gaya hai kuchh