duniya se aaj jazb-e-wafa mangta hun main ye jurm hai agar to saza mangta hun main kis mod par hayat ke chhoda hai tum ne sath ek ek se aaj apna pata mangta hun main main ne to ki thi dard-e-musalsal ki aarzu tum ko guman hua ki dawa mangta hun main ranai-e-bahaar badhane ke waste tera jamal teri ada mangta hun main barsao mujh pe sang ba-nam-e-khulus-e-ishq apne kiye ki aap saza mangta hun main tum mangte ho sari khudai to mang lo apne liye to sirf khuda mangta hun main kya jaane ab samet ke sari tabahiyan is daur-e-iztirab se kya mangta hun main qatil ko gham-gusar samajhta hun ab 'rais' maqtal mein zindagi ki dua mangta hun main