tumhaari zulf ke charche pareshanon mein rahte hain meri diwangi ke zikr diwanon mein rahte hain nahin parwa-e-iman kafiran-e-ishq ko hargiz unhen kaba se kya matlab jo but-khanon mein rahte hain talash us rashk-e-laila ki jo rahti hai hamein har-dam usi se qais ke manind wo viranon mein rahte hain miyan-e-mahfil-e-ahbab hai wo shama ki surat hum us se lau lagae us ke parwanon mein rahte hain falak se badh ke rutba ho na kyun kar qasr-e-jaanan ka malaek jis jagah adna se darbanon mein rahte hain ajab hai nek sohbat ki na hota sair insan mein mohazzab bante hain haiwan jo insanon mein rahte hain na ho mazmun aali kyun bhala ashaar 'ahqar' mein sukhan-danon se sohbat hai zaban-danon mein rahte hain