duniya se aql-o-faham ke aasar mar gae

duniya se aql-o-faham ke aasar mar gae
sae to ji uthe dar-o-diwar mar gae

kashti-e-zist par na lag pai le ke wo
aql-o-khirad ka hath mein patwar mar gae

jin ko tha khauf maut ka apni hayat mein
ek bar kya mare wo kai bar mar gae

tha imtihan-e-shauq kya naqd-e-jaan qubul
ho kar khushi se hum bade sarshaar mar gae

khushbu uda ke lae the daman-e-yar se
is muddaa-e-shauq ke izhaar mar gae

jannat mili na hur gaya ittiqa kahan
malte hain 'dard' hath ki be-kar mar gae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close