duniya se be-niyaz ghazal kah raha hun main qalb-o-jigar nawaz ghazal kah raha hun main ai dil zara thahar ki hain sehn-e-chaman mein wo mahw-e-khiram-e-naz ghazal kah raha hun main chhalke tere jamal ki ranginiyan kuchh aur ek aisi dil-nawaz ghazal kah raha hun main karta hun be-naqab rukh-e-raushan-e-hayat parda-kusha-e-raaz ghazal kah raha hun main masti mein taki guzre meri sham-e-zindagi ai mere karsaz ghazal kah raha hun main in nazuk ungliyon se zara muskura ke chhed dhime se koi saz ghazal kah raha hun main saghar-ba-dast aaya hai saqi bahaar mein bas ho chuki namaz ghazal kah raha hun main us tir-e-nim-kash ka maza ho mujhe ata ai chashm-e-nim-baz ghazal kah raha hun main tanhaiyon mein raat ki yaad-e-'habib' ne chheda hai dil ka saz ghazal kah raha hun main