falak se hue hain ye paiham ishaare zamin se nahin dur ye chand tare munawwar hui meri sham-e-ghariban ki yaad aa rahe hain watan ke nazare meri zindagi hai ki hai ek tufan ye bechain lahren ye betab dhaare tabiat ne meri kabhi bhi na dhunde ye sahil safine wo sae sahaare ulajh sakta hun ab bhi tufan se sathi ye kyon meri kashti laga di kinare ye hamwar-o-yaksan si kya zindagi hai na aandhi na tufan na shoale sharare kahin chhin le mujh se piri na aa kar ye sine ki garmi nazar ke sharare hai bachchon ka ek khel ye zindagi bhi hasin jo wo jite hasin wo jo haare kabhi pyar karke kabhi pyar pa kar jiye hum jahan mein usi ke sahaare ye patte hain larzan wo gul dam-ba-khud bas ek hum na samjhen khizan ke ishaare 'habib' aap duniyan ko pahchante hain wo ye rang badle ki wo rup dhaare