duniya se dagh-e-zulf-e-siyah-fam le gaya main gor mein charagh-e-sar-e-sham le gaya ki tark main ne shaikh o barahman ki pairwi dair-o-haram mein mujh ko tera nam le gaya dozakh mein jal gaya kabhi jannat mein khush raha mar kar bhi sath gardish-e-ayyam le gaya main justuju-e-kufr mein pahuncha khuda ke pas kaba tak in buton ka mujhe nam le gaya pahna kafan to kucha-e-qatil mein pai rah kaba mein mujh ko jama-e-ehram le gaya nafrat hui do-rangi-e-lail-o-nahaar se main subh o sham us ko lab-e-baam le gaya kuchh lutf ishq ka na mila jite-ji 'munir' nahaq ka ranj muft ka ilzam le gaya