honton par hai baat kadi taziren bhi khamoshi ka rang huin taqriren bhi khauf yahi hai aane wali naslon ko ek ajuba hongi ye tahriren bhi mausam ke sau rup magar in aankhon mein khwab wahi hain khwabon ki tabiren bhi aainda ke sans hamare apne hain tut chukin is wade ki zanjiren bhi ek ajab hairat mein gum-sum rahti hain diwaren diwaron par taswiren bhi pani ki khamosh sadaen kaun sune khatm huin jab mitti ki tasiren bhi