duniya se duniya mein rah kar kaise kinara kar rakkha hai dekh to aa kar kis surat se hum ne guzara kar rakkha hai pahle to hum duniya samjhe lekin ab ehsas hua hai josh-e-junun mein hum ne khud ko para para kar rakkha hai itna nur kahan se laun tariki ke is jangal mein do jugnu hi pas the apne jin ko sitara kar rakkha hai dekh sako to dekh lo aa kar mera kamal-e-akhir bhi tum shab ke rang se milti lau ko kaise sharara kar rakkha hai itne shokh kahan hote the mujh ko to yun lagta hai rangon ko chupke se us ne koi ishaara kar rakkha hai