duniya se tab dar lagta hai beti ko jab par lagta hai andar ka to sufi jaane par achchha paikar lagta hai tum ne to gul tod liye mujh ko chhute dar lagta hai sahra se anjaan lago ho tum ko ye dar ghar lagta hai main ne us ko rote dekha jo tujh ko patthar lagta hai tum ne haal to puchha hai par mujh ko kahte dar lagta hai