main badalte mausamon ke rang se bezar hun

main badalte mausamon ke rang se bezar hun
har nai rut se chaman mein barsar-e-paikar hun

husn-e-yusuf ke kharidaro badho meri taraf
main adab ke daere mein misr ka bazar hun

waqt ke hathon bigadta hun sanwarne ke liye
main samundar ke kinare ret ki diwar hun

kaun sa hai marhala jo mujh se tai pata nahin
main khud apne raste ki manzil-e-dushwar hun

jis ko padhna hai mujhe wo pahli fursat mein padhe
subh ke hathon mein pichhli raat ka akhbar hun

khwab hai mere liye mauj-e-hawa ki tazgi
main shajar par zard patte ki tarah bedar hun

meri gardan par 'saba' hai apni shohrat ka lahu
main amal ki raushni mein jurm ka iqrar hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close