duniya soche shauq se soche aaj aur kal ke bare mein main kyun apna chain ganwaun us pagal ke bare mein sang-e-marmar ki qabron mein mahw-e-khwab the hum donon kal shab dekha khwab ajab sa taj-mahal ke bare mein aakhir us ki sukhi lakdi ek chita ke kaam aai hare-bhare qisse sunte the jis pipal ke bare mein mere shital man ki jwala ko to aur bhi bhadkaya log na jaane kya kahte hain ganga-jal ke bare mein aansu ban kar tut gaya tha jo sapnon ki palkon se sat yugon se soch raha hun main us pal ke bare mein chumo ghunghat khol ke chumo us dulhan ke honton ko ye apna dastur hai mai ki har botal ke bare mein wo jo kutiya dal raha hai virane mein shahr se dur sara shahr pareshan kyun hai us pagal ke bare mein 'prem' bhari mahfil mein koi dad nahin fariyaad nahin! chup si hai wo jaan-e-ghazal bhi meri ghazal ke bare mein