ek hujum-e-girya ki har nazar tamashai der se kharabon mein hai asir tanhai dil ki sham ki surat zakhm zakhm sannata jaan ki shor-e-wahshat mein subh ki tamannai kakul-e-khizan tere be-sabab ulajhne se chehra-e-bahaaran par dekh tirgi chhai thi teri nigahon ke sail-e-tirgi mein gum kab tere ujale mein khud ko main nazar aai qurb tha ki aaina jaan talak bulata tha hijr ne bhula di hai surat-e-shanasai bab-e-rang ghunchon ke pairahan pe wa kar ke khil rahi hai shakhon par dard ki pazirai khush hun ek sitare par dekh kar makan apna raat meri binai kaun si nazar lai