duniya tujhse chand bundon ki sawali kyon

duniya tujh se chand bundon ki sawali kyon
baadal teri jholi itni khali kyon

itni phiki itni hai be-rang bahaar
har tahni har dali khali khali kyon

ek din us ki chhati par chadh baitha main
puchha kyon deta hai man ki gali kyon

jin ki lakiron par bhi haq nahin banta kuchh
nind udaen wo aankhen matwali kyon

ishq mein ek minnat ka dhaga bandha tha
yaaden chhod gai marqad ki jali kyon

apne chehre bhi hain ghair nigahon mein
duniya tu ne itni dekhi-bhaali kyon

ek khanak sunni thi chae ki pyali ki
tu ne ye nazuk farmaish tali kyon

barf ke jaise sare sutun the shishe ke
hum ne un par apni imarat dhaali kyon

ek gunga sa rishta qaem kar baithin
khidki se do aankhen bholi-bhaali kyon


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close