kaha kis ne hamesha pyar dena kabhi to jaan ka aazar dena kanizon se akele mein ye wade mohabbat barsar-e-darbar dena ye kya yunhi hamesha jit jao kabhi hum ko jue mein haar dena mohabbat bhi tashaddud chahti hai kabhi jhuta tamancha mar dena tumhein ji jaan se chaha hai hum ne bura hai is tarah dhutkar dena yahan aae hain milon dhup se hum zara sa saya-e-diwar dena jahan jo chiz chahen hum khariden suhulat ka khula bazar dena hamari jeb mein sikke nahin hain khuda hum ko bhi tu dinar dena na jaane raat mein kya kuchh hua ho hamein tum subh ka akhbar dena