duniya walon ne chahat ka mujh ko sila anmol diya pairon mein zanjiren dalin hathon mein kashkol diya itna gahra rang kahan tha raat ke maile aanchal ka ye kis ne ro ro ke gagan mein apna kajal ghol diya ye kya kam hai us ne bakhsha ek mahakta dard mujhe wo bhi hain jin ko rangon ka ek chamkila khol diya mujh sa be-maya apnon ki aur to khatir kya karta jab bhi sitam ka paikan aaya main ne sina khol diya bite lamhe dhyan mein aa kar mujh se sawali hote hain tu ne kis banjar mitti mein man ka amrit dol diya ashkon ki ujli kaliyan hon ya sapnon ke kundan phul ulfat ki mizan mein main ne jo tha sab kuchh tol diya