gale mila na kabhi chand bakht aisa tha hara-bhara badan apna darakht aisa tha sitare siskiyan bharte the os roti thi fasana-e-jigar-e-lakht-lakht aisa tha zara na mom hua pyar ki hararat se chatakh ke tut gaya dil ka sakht aisa tha ye aur baat ki wo lab the phul se nazuk koi na sah sake lahja karakht aisa tha kahan ki sair na ki tosan-e-takhayyul par hamein to ye bhi suleman ke takht aisa tha idhar se guzra tha mulk-e-sukhan ka shahzada koi na jaan saka saz-o-rakht aisa tha