dupatta wo gulnar dikhla gae nae sur se phir aag bhadka gae tumhaari zidon se hum ukta gae kisi roz sun lena kuchh kha gae hamari fughan se na mano bura kahan tak karen zabt ghabra gae qafas se chhute kin dinon ya-nasib ki patte bhi phulon ke murjha gae gae mere dushman ke phulon mein wo mujhe gham ke kanton mein uljha gae hamare gul-andam ka hai ye rang zara dhup mein nikle sanwla gae ye sar chot furqat ke sadme rahi bahut kasa-e-sar mein baal aa gae lahad mein gire jab hua sar safed padi dhup aisi ki teyora gae na pahunchi chaman tak khizan aa gai dilon ke kanwal khil ke kumhla gae kisi ki wo zulfen jo yaad aa gain mere sine par sanp lahra gae falak abr ki tarah phat jaega mere nale jis roz takra gae har ek baat ki tah samajhne lage bahut dur ho hum tumhein pa gae hua dhup mein bhi na kam husn-e-yar kanhayya bane wo jo sanwla gae na joban ubharne diya naz ne dupatta jo sarka to sharma gae miyan-'bahr' kyun chupke chupke ho aaj jo mehman aae the wo kya gae