dur hai manzil to kya rasta to hai ek nazar us ne mujhe dekha to hai chand hathon mein nahin to kya hua aasman par hi sahi dikhta to hai khush agar ghairon mein hai to khush rahe wo kahin bhi ho chalo achchha to hai kuchh nahin hai aur to gham hi sahi is bhari duniya mein kuchh apna to hai aaj wo yun hi nahin mujh se khafa kuchh gila to hai koi shikwa to hai kiya bharosa us ke wade ka magar dil ke khush rakhne ko ek wada to hai us ne rakkha hai takalluf ka bharam ab adawat par koi parda to hai aa raha hai wo bhi aakhir rah par sun ke mera zikr kuchh kahta to hai dil nahin 'azim' chalo jaan hi sahi khair us ne mujh se kuchh manga to hai