hai meri zist tere gham se farozan jaanan kaun kahta hai mujhe be-sar-o-saman jaanan teri yaaden mere hamrah ba-har-gam hain jab main ne samjha hi nahin khud ko pareshan jaanan nabz-e-ehsas bahut sust hui jati hai dil ko darkar hai phir dard ka paikan jaanan hanste hanste nazar aate the jahan ghuncha-o-gul viran viran sa lage hai wo gulistan jaanan ab na wo soz na wo saz hai dil mein phir bhi ek aawaz si aati hai ki jaanan jaanan zikr-e-mazi se gurezan hun ye sach hai lekin yaad hai aaj bhi mujh ko tera paiman jaanan itni tanhai ka ehsas musalsal ho agar apne sae se bhi dar jata hai insan jaanan tere hathon ki wo mehndi wo tera surkh libas is tasawwur se bhi dil hai mera larzan jaanan ek muddat hui go ahd-e-bahaaran guzre chaak hai aaj talak mera gareban jaanan main tujhe bhul na paya to ye chahat hai meri yaad rakkha hai jo tu ne tera ehsan jaanan aaj 'khalid' ke khayalat ki har rahguzar hai tere husn ke partaw se charaghan jaanan