dur sahra ki kadi dhup mein chhanw jaisa wo to lagta tha mujhe meri duaon jaisa ek riyasat thi mere pas nawabon jaisi ab tere shahr mein phirta hun gadaon jaisa ab use dhundhta phirta hun bayabanon mein jo mere pas se guzra tha hawaon jaisa tu na tha pas to ruthi thin bahaaren mujh se jaise mausam ho mere sath khizaon jaisa rukh-e-raushan se nikalti thin shuaen 'owais' us ki zulfon mein nazara tha ghataon jaisa