dil-e-majruh jab bhi ek nai karwat badalta hai gul-e-har-zakhm se hansta hua nashtar nikalta hai hua hai aur na hoga sard dast-e-jaur gulchin se sharar-e-dil jo mauj-e-rang-o-bu ban kar uchhalta hai yahan kuchh kam nahin diwangi se hosh ka dawa udhar sina-sipar hun main jidhar se tir chalta hai main wo khamosh basti hun umidon ke samundar mein ki jis ki khamushi ki tah mein ek tufan palta hai muqaddar ke likhe par mutmain hone ko ho jaun magar ye dard rah rah kar jo pahlu mein machalta hai 'salam' ek din pahunch hi jaenge un ke bhi daman tak ye shoale jin ki garmi se mera ang ang jalta hai