dur se dekh rahe the mere ahbab mujhe apne hamrah baha le gaya sailab mujhe wo tere qurb ki khushbu ko ayan ho na nihan wo haqiqat bhi nazar aati hai ek khwab mujhe main ki sahil ka tamannai tha lekin ab to apne aaghosh mein leta nahin girdab mujhe main to sadiyon ka nindasa hun magar ye to batao kyun ye mahaul nazar aata hai be-khwab mujhe istiara hun nae ahd mein gum-shudagi ka bhulte jate hain mazi ke hasin khwab mujhe sar-e-hasti to usi chashm-e-gurezan se mila kya mila 'rashk' sar-e-mimbar-o-mehrab mujhe