dhup ki shiddat mein nange panw nange sar nikal ai dil-e-sada sawad-e-jabr se bahar nikal kal ka suraj shad-kaami ki khabar de ya na de chhod andeshe hisar-e-zat se bahar nikal main kai sadiyon se gum hun khwab ke sakraat mein aaftab-e-subh-e-bedari mere sar par nikal sahilon par tere istiqbaal ko aaya hai kaun dubne wale ubhar phir sath-e-dariya par nikal ahd dar-o-gir hai apna tashakhkhus gum na kar soch ki sari fasilen tod kar bahar nikal tisri duniya munawwar ho mere afkar se mehr-e-azadi mere ehsas ke andar nikal apne khad-o-khal dekhun main bhi ai sultan-'rashk' meri aankhon se magar ai khwab ke manzar nikal