dur tak bhi aahat ki aas jab na rah jae koi kis tarah dil ko sham-e-gham mein bahlae kya karun kahan jaun kaise ji ko bahlaun chand ki bhi thandak jab dil pe aag barsae jab bhi bazm-e-khuban mein tum ko bhulna chaha dard kuchh siwa uttha yaad tum siwa aae haal-e-dil na kuchh puchho jaise umr bhar koi muntazir kisi ka ho aur na wo kabhi aae sochte hue ji mein ab kabhi na aaenge aaj phir tere dar se dil-shikasta uth aae tark-e-dosti par bhi aaj dekh kar un ko dil pe ahd-e-ulfat ke naqsh sab ubhar aae yaad aa rahi hogi un ko bhi meri shayad raat der tak mujh ko yaad wo 'shahab' aae