su-e-shahr aae uDate parcham-e-sahra ko hum

su-e-shahr aae udate parcham-e-sahra ko hum
ai junun ab ke ulat ke rakh hi den duniya ko hum

tha kahin mazi mein to ai haal ab aage tera kaam
le to aae teri chaukhat tak tere farda ko hum

kitne dana hain laga kar aag sare shahr ko
ek ganga le chale jalti hui lanka ko hum

muztarib hain sare sannate ki aawazen banen
rahbaro dabe hain ek patthar tale sahra ko hum

khak ka zarra guhar ke mol tha bazar mein
jau ke dane ke liye rote hain an-data ko hum

pyas kah kah kar pukaren bich dariya mein khade
pani pani kah ke mangen ret se dariya ko hum

dhup agar hoti to tan dhakna kuchh aasan tha 'shahab'
raushni se chhin lete parda-e-saya ko hum


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close