dur tak chaaron taraf mere siwa koi na tha phir palak jhapki to kya dekha ki khud main bhi na tha ek tadap bijli ki aur diwar-o-dar mitti ke dher ek tadap shoale ki aur dariyaon mein pani na tha daere banti sadaen chhu ke jab hadd-e-ufuq apne markaz ki taraf lautin to kuchh baqi na tha qaid-e-zindan-e-jasad mein tha ye kab kashf-e-wajud aur bhi kuchh tha main sirf ek paikar-e-khaki na tha kya khabar tum ne kahan kis rup mein dekha mujhe main kahin moti kahin patthar kahin aaina tha den hisab-e-roz-o-shab kya us ko jis ke dard se koi saat koi lamha koi pal khali na tha aarzu lal-o-gohar ki kis liye karta 'bashir' harf-o-mani ka khazina kya use kafi na tha