jo na wahm-o-guman mein aawe kis tarah tere dhyan mein aawe tujh se hamdam rakhun na poshida haal-e-dil gar bayan mein aawe meri ye aarzu hai waqt-e-marg us ki aawaz kan mein aawe main na dunga jawab tu kah le jo ki teri zaban mein aawe ye shab-e-wasl khair se guzre to meri jaan jaan mein aawe hae kya ho abhi jo ai hamdam wo sanam is makan mein aawe gar khule chashm-e-dil to tujh ko nazar wo hi sare jahan mein aawe us ki tarif kya karun 'ghamgin' hal-ata jis ki shan mein aawe