dur tak parchhaiyan si hain rah-e-afkar par rengti phirti hai chup dil ke dar-o-diwar par tu ki hai baitha khas-e-auham ke ambar par is tarah mat hans mere shoala-ba-kaf ashaar par ai nizam-e-wahshat-afza tere sannaton ki khair ek kiran hansne lagi hai raat ki talwar par kirchanen dil ki ghani palkon pe hain bikhri hui aaina tuta pada hai saya-e-asrar par sher kahne ki gharaz se main ne aksar raat-bhar phul se ehsas ko rakkha hai nok-e-khar par kya yahi manzil thi dil ki kya usi ke waste gamzan barson raha gham ki rah-e-dushwar par khun ki bu aati hai paiham surat-e-haalat se aankh roti hai lahu har surkhi-e-akhbar par kis himaqat ke ewaz kis jurm ki padash mein waqt ne khincha hai mujh ko zindagi ki dar par ek muddat se dil-o-jaan ne laga rakkhe hain kan an-suni sargoshiyon ki ras-bhari jhankar par