dur tak phail gai sab kei zaban tak pahunchi baat tab ja ke mere wahm-o-guman tak pahunchi pyas ne mujh ko to bas mar hi dala tha magar kashish-e-zist meri aab-e-rawan tak pahunchi khak jab khak se takrai to ek shor utha jaan jab jaan se guzri to aman tak pahunchi dhadkano mein teri aamad se wo jhankar hui lab khule bhi nahin aur baat bayan tak pahunchi meri aankhon se mere khwab churane wala puchhta hai ki meri nind kahan tak pahunchi koi to shai thi 'alina' jo in aankhon se chali dil mein paiwast hui aur rag-e-jaan tak pahunchi