ye baat waqt se pahle kahan samajhte hain hum ek sarae ko apna makan samajhte hain yaqin kisi ko nahin apni be-sabaati ka sab apne aap ko shah-e-zaman samajhte hain bas ek udan bhari hai abhi khalaon tak isi ko ahl-e-zamin aasman samajhte hain hamein bhi khinchti hai is kei har kashish lekin ye khak-dan hai ise khak-dan samajhte hain ye log itne fasurda isi liye to nahin ki dusron ko bahut shadman samajhte hain khuda unhen bhi ho taufiq is ibaadat ki mohabbaton ko jo kar-e-ziyan samajhte hain