dur tak phaili hui hai tirgi baaten karo das na le hum ko kahin ye khamushi baaten karo aao palkon se chunen bikhre hue lamhat ko nind aa jae na jab tak khwab ki baaten karo bas yahi lamhe ghanimat hain ki hum tum sath hain kaun jaane mil bhi paen phir kabhi baaten karo sirf ek karb-e-musalsal hi nahin hai zindagi mukhtasar waqfe ki surat hai khushi baaten karo ruh ke nasur to riste rahenge umr bhar dard mein aa jae shayad kuchh kami baaten karo kaun jaane kal ka suraj dekh bhi paenge hum jab talak hai raat baqi bas yunhi baaten karo is qadar khamosh rahna bhi nahin achchha 'rawish' chha na jae zehn par afsurdagi baaten karo