fikr-e-naqqad-e-adab dirham-o-dinar mein hai kaun si jins-e-sukhan kucha-o-bazar mein hai garmi-e-husn meri garmi-e-afkar mein hai wo agar mujh mein nahin hai mere ashaar mein hai pa-ba-zanjir mujhe lakh zamana samjhe mere qadmon ki dhamak waqt ki raftar mein hai raat qabu mein rahe shahr ke haalat magar lash ek lipti hui subh ke akhbar mein hai koi aawara sa jhonka koi baghi sa khayal jis se main khauf-zada hun mere ashaar mein hai kal isi ghar mein ghazal us ne sunai hogi jaani-pahchani si khushbu dar-o-diwar mein hai sahil-e-maslahat-e-waqt mujhe jaane de us safine ne pukara hai jo majdhaar mein hai wo mohabbat ka mujahid wo murawwat ka shahid kal ka 'saulat' abhi zinda mere afkar mein hai